Posted in Uncategorized

Mujhe Theek Nahi Lagta

Tujhe yuun kisi aur ke saath dekhna mujhe theek nahi lagta,

Mohabbat bewafa hi sahi par uska be-parda hona theek nahi lagta,

Muskuraana gham me humne bhi seekh liya hai unse,

Par unka muskuraate hue aansuon ka bahana theek nahi lagta.

Ye jo kashti phasi hai samundar me iska sawaar nazar nahi aata,

Sahil se takrake leheron ka phir chale jaana theek nahi lagta.

Mausam bahar ke aate hai phir guzar jaate hai,

Par garmiyon me phoolon ka jhulas jaana theek nahi lagta.

Uske maate ki bindi uske kaano ke jhumke ab tumhare naam,

Sambhalna inhe uski khilkariyon ka shant hona theek nahi lagta.

whatsapp-image-2017-03-03-at-10-06-53-am-1

Posted in ALONE, EMOTIONS, GHAZAL, INCOMPLETE, LOVE, THOUGHTS, Uncategorized

*Aaj Phir Apni BadKismati Pe Rona Aaya*

Are you still trying not to cringe, or suffer from another blow when you see his or her photo on your Facebook timeline?

Spot and try to decipher one of their ambiguous tweets? Or worry that you’ll see a new face appear beside theirs, on your Instagram feed?

Do you not count the number of weeks, since that very last day?

Do you not notice how their WhatsApp status blink from last seen to online, to last seen again, when the incessant missing becomes too much to bear?

Do you crash at home on Friday nights, or indulge in the company of your friends, just to give your soul the therapy it needs?

Aaj Phir Apni BadKismati Pe Rona Aaya is a tale of HEART-BREAK which soothes your agony.

Aaj phir apni badkismati pe roona aaya,
Sharab ke nashe me uska chehra yaad aaya.

Yun toh bhula chuka hu mai uski harr ek yaad ko,
Gham ke badalo me uska dard barsaat bann ke samne aaya.

Yun toh khudaai se bhi uncha hota hai rishta pyaar ka,
Phir kyu yaar ki shakal me dushman meri chaukhat pe aaya.

Namaze ada toh mai rab ke liye karta hu,
Sajde me sarr jhukte hi hoothon pe uska naam kyun aaya.

Jo kehna chahta hai ‘kirdaar’ woh bayan karna mushkil hai,
Jazbat asli wahi hai jo hoothon pe alfaz bann ke na aaya.

girl-boy-friends-in-love-heart-touching-love-stories

~ Kirdaar Husain

Posted in EMOTIONS, GHAZAL, POEMS, RAIN, THOUGHTS, Uncategorized, URDU POETRY

Baras Raha Hai Jo Ishq-e-Haqiqi Hai Ye

Rain has often played a romancing factor in Urdu sher-o-shayari to entwine emptiness and contentment together. Barish or barsaat can be both, love quenching as well as death dealing, subtly links all aspects of life.

Kirdaar Husain’s small effort, emblematizing a multitude of emotions.

Baras raha hai jo ishq-e-haqiqi hai ye,
Paani ki surat me jannat ki sharab hai ye,

Barasti hai garajti hai machalti hai mehekti hai ye,
Yaad mere yaar ki dilaati hai ye..

Naazil kiya hai khuda ne inko mere liye,
Baarish ki buunde nahi; jaise meri mehbooba hai ye..

a-man-walking-in-the-rain-2c39ce95a13135802ec8497fcdd9c618

Geeli inn barsaato me aankh chalakti hai,
Kehti hai hawa saboot-e-wafa hai ye..

Milti hai mitthi me toh apni khusbu chod jaati hai,
Juda hai mujhse meri mohabbat hu-bahu uska ehsaas hai ye..

Dhaalna chahti hai mujhko ye barsaat apne ‘kirdaar’ me,
Janti nahi ki chand minto ki baat hai phir toh aakaal hai ye..

 

Posted in Uncategorized

Rishta : Tera Mera

Chahat me meri; teri aashiqui ka hai rang,

Dil ki kitaab likhna chahu mai tere sang,

Sunn le zaraa jo kehna hai mera,

Chupp jaau zulfon me hoke tera,


Bikar jaana hai hoo jaana hai fanaa,

Aajaao paas mere kaaro na yuu manaa,

Sunn le zaraa jo kehna hai mera,

Dekhu jaha nazar aaye chehra tera,

images (1)


Rabb ki di hui mujhe hai tu amaanat,

Le chal apne jahaan me kar de meri zamaanat,

Sunn le zaraa jo kehna hai mera,

Meri harr ek saas pe haqq hai sirf tera,

Sunn le zara jo kehna hai mera,

Ishq ke safar me khuda hai zamin tera,

Chotenga na saath kabhi tera mera,

Tera Mera,

Tera Mera,

Tera Mera.

Posted in ALONE, INCOMPLETE, LOVE, POEMS, Uncategorized

Btaaye Kisko!!

Dil ki ye baat btaaye ab kisko..
Uljhe hai kaisi vardaato me samjhaaye ab kisko..
Tanha karr gaya woh, chaaha tha duniya se jyada jisko..

good-life-quotes15

Sulagte bhi hai hum..
Ulajte bhi hai hum..
Roote bhi hai yuu gham o gham..
Parr ye sab, btaaye kisko..

Dil ki ye baat btaaye ab kisko..
Uljhe hai kaisi vardaato me samjhaaye ab kisko..
Tanha karr gaye woh, chaaha tha duniya se jyada jisko..

download

 

Bewajah bin bataaye hi chal diye kyu..
Harr dagar harr pahar tere peeche aaye yuu..
Phir bhi naa mila jawab tere bin jiyye kyu..
Haar ke ye sab btaaye kisko..

Dil ki ye baat btaaye ab kisko..
Uljhe hai kaisi vardaato me samjhaaye ab kisko..
Tanha karr gaye woh, chaaha tha duniya se jyada jisko..

images (1)

 

Posted in DIL, EMOTIONS, LOVE, POEMS, PYAR, SHAYARI, Uncategorized

Zikr-E-Pyaar

Dabhi si reh gayi dil me woh harr baat..
Samjhayenge tujhe kabhi aankho ke ye jazbaat..
Dil ke kamre me band hai teri harr mulaqaat..
Haste hai dost mujhpe, kehte hai deewana ho gaya hu,
Parr kisko samjhaau ke Pyar ki hai ye vardaat..

 

Tujhsa chahne wala nahi milenga aur,
Naahi kabhi koi thaamenga mera yuu haath..
Kehna chahta tha tujhse btana chahta tha.
Ki tu hai din, tu meri harr raat..
Par darr tha ki chutt na jaaye kahi tera saath..378058_341168165894689_112015318809976_1425214_1298372322_n

Dil ke kisi khone me chuupi si reh gayi pyar ki woh baat..
Zikr na hum karr paaye nahi unhone kiya izhaar..
Chale gaye woh durr humse,
De gaye maayuusa ka uphaar..

 

Kehta hu tumse agar ki hai kisi se mohabbat toh karo usse ikraar..
Varna chali jayengi woh durr tumse aur sochte reh jaaoge,
Kya yahi hota hai Pyaar..

Posted in EMOTIONS, SHAYARI, THOUGHTS, Uncategorized, URDU POETRY

!!Blend of LOVE!! (Part 2)

Love is involuntary. It’s a craving for a specific person. Love, like thirst, will make you do strange things,  But LOVE is power.  It’s a natural addiction.
We were built to fall in love.  Are YOU in LOVE?

The ancient Greeks called love “the madness of the gods.”  

Aristotle said, “Love is composed of a single soul inhabiting two bodies.

As Kabir, the Indian poet put it:  “The lane of love is narrow; there is room for only one.

In continuation to  Kirdaar Husain’s  collection of love shayaris. I pay homage to the wonders of PYAAR ISHQ MOHABBAT.

 

Blend Of Love P2 - 1

 

Blend Of Love P2 - 2

 

Blend Of Love P2 - 3

 

Blend Of Love P2 - 4

 

Blend Of Love P2 - 5.jpg

 

Posted in EMOTIONS, POEMS, Uncategorized, URDU POETRY

मेरी हो गई!!!

ये रातें भी अब तेरी हो गई,

ख्वाबों में जो आये सूरत,

वोह अब तेरी हो गई।

केहता हैं ये दिल,

की तू अब मेरी हो गई।।

दुनियां से चुरा लाऊँगा मैं तुझे,

हर किसी की नज़र से छुपा लाऊँगा मैं तुझे,

नज़दीकियों में कैसे ये दूरियां फिघल गई,

जीने की अब तू वज़ह बन गई।

केहता हैं ये दिल,

की तू अब मेरी हो गई।।

आसमानों के परे ले जाऊँगा तुझे,

मैंने ख़ुद में भी पाया है तुझे,

ओस में जमी भूंड जैसी ढल गई,

जीने की अब तू ही वज़ह बन गई।

केहता है ये दिल,

की तू अब मेरी हो गई।।

केहता है ये दिल,

की तू अब मेरी हो गई।।

Posted in ALONE, DIL, EMOTIONS, INCOMPLETE, LOVE, PYAR, Uncategorized

!!Aaoge Kab!!

Waadiyon me nikalti ye shaam,
Yaad dilati hai tera naam..
Zarre zarre pe likh jaati hai,
Tere saath hi judenga mera naam..

come_back_my_life_by_stormofdestiny

Wafaao ki iss hawa me,
Dhund lo hame pyar me..
Keh gaye woh,
Pehchaan lo hume chahto me..

Miss-You-Wallpapers-5

Behti hui dariyaan ki lehre puchti  hai ab,
Laut ke aaoge kab..
Bewajah hi sahi,
Hame rulaoge kab..

Puchti hai meri dhadkaane tum aaoge kab..
Iss jism me jaan bann ke samaaoge kab..

Puchti hai meri dhadkaane tum aaoge kab..
Iss jism me jaan bann ke samaaoge kab..