Posted in EMOTIONS, GHAZAL, POEMS, THOUGHTS, URDU POETRY

Mere Yaar Ki Daad Dena Kuch Lafzo Me Munasib Nahi

225247
Beauty? Can any one describe BEAUTY?

NO.

Describing beauty is almost impossible because we perceive it, rather than describing it. If you look at a Rembrandt painting and start to try and describe what the beauty is you see, your words sound absolutely pathetic.
John Lennox

Great poets, philosophers and even for the sake Bollywood lyricist have fallen short of words when it comes to describing the beauty (inner) of their loved ones. Beauty is not a tool to be patronized.


Kirdaar Husain’s small gesture of summoning up the original essence of beauty into a GHAZAL.

 

Mere yaar ki daad dena kuch lafzo me munasib nahi..
Dekh ke inhe ghamzadah-e-ishq na ho jaao ye mumkin nahi..

Tabassum se inki mehshar bayaan hai,
Hairat-zada karde aisa koi aur husn khuda bana paaya nahi.

Grehan hai suraj-o-chand ko inki zeenat se,
Raunaaq-e-jahann khuda bhi inse khareed paaya nahi.

Mere yaar ki daad dena kuch lafzo me munasib nahi..
Be-qiimat hai ye jism koi mol iska laga paaya nahi..

Jism jaise hai ajanta ki moorat jiss sanche se,
Tarasha woh sancha koi dhund paaya nahi.

Mere yaar ki daad dena kuch lafzo me munasib nahi..
Chehra hai dhoop sa rupala jiska koi bayaan nahi..

Tasawwar bhi yahi hai, tasveer bhi yahi hai,
Noor barasta hai chehre se mehtaab se kamm nahi..

Mere yaar ki daad dena kuch lafzo me munasib nahi..
Absaar hai jaise sharaab ka pyala koi jamm aisa piyaa nahi..

Dekhle ek nazar koi ye surrmai aankhe,
Toh inki qaid se aaj tak koi chutta nahi..

Maine khoo diya hai apna ‘kirdaar’ iss husn me kahi,
Milna iska khuda ko bhi gawaara nahi.

674f8aa2f92e60f30458b6ba600b55be